BLOGS

Moun Dikhai main Mang lo umr bhar ka sath, Magar Kesy?

Shadi insan ki zindagi ka ek sab se eham faisla hai or her koi yehi chahta hai kay wo apni shadi shuda zindagi ko kamyabi se guzaray. Ek kambyab shadi wohi hoti hai jahan muhabbat or ehsas shamil ho. Agar ap bhi chahte hen  kay apki shadi shuda zindagi achi guzray to apko chahie kay apne jeewan sathi ko khush rakhen or uska dil jeet len. Shadi kay baad mun dikhai men umer bhar kay sath ko yaqeeni bana len. Lakin sawal ye hai hai kay aisa kya kiya jae jo aap kay umer bhar kay sath ki zamanat ban jae?

Shadi kay baad her naye joray ki khwahish hoti hai kay wo kuch din kay liye sa se door ek acha time spend kare. Honeymoon pe jana her joray ki pehli tarjeeh hoti hai, lakin ye faisla kerna mushkil hota hai kay kis jaga pe jaya jae. Her koi chahta hai kay aisi jagah ka intekhwab kare jahan sakoon or pur kashish nazaray hon take unkay mizaaj per khushgawar asraat hon or unka honeymoon ek khubsurat yaadgaar ho.

Turkey ek bohat hi zabardast jagah hai jo kay apni mutaharik saqafat, lazaaz pakwaan or tareekhi jaghon kay lie bohat mashoor hai. Is kay ilawa ye eke ham geostrategic muqam hai. Ye ek aisa mulk hai jahan jaana her kisi ka khwab hai. Honeymoon kay liye bhi ye ek zabardast intekhwab hai or ap 7Sky kay zarye ek behtareen honeymoon package hasil ker sakte hen. Mun dikhai men apne life partner ko Turkey kay visit ka tohfa den or unka dil jeet ker umer bhar kay sath ko yaqeeni banaen.

Kuch logo ko lagta hai kay Turkey ka visa hasil kerna ek bohat hi mushkil kam hai lakin ye itna bhi mushkil nahi hai. Apko ek ache rehnumai ki zarorat hai taake ap asaani se visa hasil ker saken or Turkey ka safar ker saken. 7Sky ek aisa idara hai jo is saare silsalay men apki rehnumai kerta hai or apko saari details se aagah kerta hai taake ap asaani se her marhala tay ker saken. Is procedure ki eham maloomat hona bohat zarori hai.

Turkey ka Passport Hasil Kerne ka Tareeka

Agar ap Turkey  ka Visa hasil kerna chahte hen to ap ko in marhalon se guzarna pare ga:

  • Ehliyat ka mayaar

Turkey ka visa hasil kerne kay liye ehliyat ka mayaar bohat asaan hai. Agar ap is mayaar pe pura utarte hen to ap jald hi Turkey ka visa hasil ker saken ge.

  • Koi mujrimana record na hona

Ye bat bohat eham hai kay darkhwast guzar ka koi mujrimana record na ho or us ne kabhi gher qanooni tor per Turkey ka safar na kiya ho. Ek saaf or shaffaf kirdar ka hona is saare marhalay ko asaan bana deta hai.

  • Umer ki hud

Turkey kay  visa ay liye kam se kam 18 saal ya is se ziada umer ka hona zarori hai.

  • Taxes ki adaaegi

Agar ap Tukrey ka passport hasil kerna chahte hen to apko is marhalay kay lie makhsoos taxes or raqam ki adaaegi ko lazim kerna ho ga.

  • Eham documents ka hona

Turkey ki shehriyat kay lie zarori documents ka hona sab se eham hai. Ap kay liye darj zel documents ka hona bohat zarori hai:

  • Paidaishi parchi
  • Jis mulk men ap rehaish pazeer hen wahan ka passport
  • Rehaish ka saboot or utility statement
  • Marriage certificate
  • Biometric or rangeen passport or tasaveer
  • Sehat ka beema
  • Tax ID number
  • Kisi mujrimana record kay na honey ka saboot
  • Ek makhsoos raqam ka hona

Is kay ilawa agar ap chahen to sarmaya kaari kay zarye wahan ki shehriyat bhi hsail ker skte hen. Ye baat to paki hai kay aap ki sarmaya kaari mehfooz hai. Agar ap wahan ki shehriyat hasil ker lete hen to uske 3 saal baad apni investment wapis bhhi le sakte hen. Sarmaya kaari k zarye turkey ki shehriyat hasil kerne kay bohat se faiday hen jin men se kuch darj zel hen.

  • Rehaish, taleem or nokri

Turkey ki shehriyat hasil ker kay aap wahan pe rehaish ikhtyar ker sakte hen. Is kay sath sat hap wahan pe taleem bhi hasil ker sakte hen or nokri bhi. Turkey passport kay zarye apko apni family kay lie visa bhi asaani se mil sakta hai or apke bachay Turkey kay kisi bhi school men parh sakte hen.

  • Visa k bagher safar

Turkey kay passport k zarye ap takreeban 110 mulkon men bagher visa kay safar ker sakte hen.

  • Apni jaidad ko show kerna zarori nahi

Ziada tar mumalik ka visa hasil kerne kay liye apko apni jaidad show kerni parti hai. Lakin Turkey kay visa kay liye ap per aisi koi pabandi nahi hai or wo apki privacy ka khyal rakhte hen.

  • Muft ilaaj ki sahulat

Turkey ka visa hasil ker ka yap wahan ki muft sehatyati sahoolton se faida utha sakte hen.

  • UK ki sehriyat

Turkey ka passport hasil ker kay aap asaani se UK kay visa kay liye bhi apply ker sakte hen or British shehriyat bhi hasil ker sakte hen.

Ap apne mojuda passport kay hote hue sarmaya kaari kay zarye Turkey kay 2nd passport kay liye apply ker sakte hen. 7Sky apke liye is saare process ko asaan bana deta hai or apko koi posheeda charges adaa nahi kerne parte.

Leave a comment

Your email address will not be published.

lexierosemay.blogspot.com bananaourobijuteriasonline.blogspot.com maggieforecojustice.blogspot.com xcyder.blogspot.com whyareyoualwayslying.blogspot.com/ gressinteriordesign.blogspot.com/